Add Poetry

Ye Lahoo Bhi Le Le

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Ye Lahoo Bhi Le Le Ae Jallaad Ishq
Meri Nas Nas Nichorr Le Aakar
Tujhe Jabse Panha Di Dil Mai
Tu Ne Dil Ko Banjar Bana Diya

Kahan Chain-O-Sukoon Ke Silsiley
Kahan Raat Aur Din Ke Khaab Wo
Na Karaar Hai Na Karaar-E-Jaan
Tu Ne Ghar Se Be-Ghar Bana Diya

Ho Bashar To Kiske Ghar Jakar
Koi Dost Na Humdard Ab
Sab Sahi Hui Teri Sajishein
Tu Ne Sab Ko Patthar Bana Diya

Mujhe Dard-O-Gham Se Gila Nahi
Tujhse Hain Shikayatein Mujhko
Meri Zindagi Se Khel Kar
Tu Ne Mujhko Be-Sar Bana Diya

Mere Qatal Mai Shamil Hain Sab
Ye Chaand Taare Aur Har Eh Shay
Ae Ishq Wah Teri Karigari
Tu Ne Phoolon Ko Khanzar Bana Diya

Mere Shahr Mai Aalam Hai Youn
Log Patthar Maarte Hain Mujhko
"Shams" Ajeeb Hai Mera Haal Ab
Kuch Tu Ne Bad-Tar Bana Diya.
 

Rate it:
Views: 290
01 Sep, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets