Add Poetry

Tu Ney Dekha Hai Kabhi

Poet: Masood By: Muhammad Masood, Chitral

Tu Ney Dekha Hai Kabhi Hijr Bhari Raat Ka Dukh
Wasl E Manzil Ki Khushi ,Dard Ki Barsaat Ka Dukh

Lafz Ubhrain Gey Jo Honton Sey Yakey Baad Deegar
Kaat Mein Unki Chupi Ishq Bhari Baat Ka Dukh

Seena E Dil Mein Banaya Ho Agar Karb Ko Raaz
Raaz Ko Khojney Waaley K Sawaalaat Ka Dukh

Ishq Manzil Bhi Hai Rastaa Bhi Hai Raahi Bhi Khud
Is Musaafat Mein Bharey Zakhm K Haalaat Ka Dukh

Jab Muhabbat Mein Bhi Insaan Khudi Kho Bethey
Ghaao Bhar Deta Hai Pur Lutf Sey Jazbaat Ka Dukh

Ishq Ko Sirf Fasaanon Mein Hi Mehsoos Kiya
Koun Seh Paaye Ga Is Behr E Kharaafaat Ka Dukh

Dukh Tou Har Dil Mein Muhabbat Ki Tarhaa Bastaa Hai
Dard Deta Hai Zamaaney Ko Isi Baat Ka Dukh
 

Rate it:
Views: 390
29 Dec, 2016
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets