Add Poetry

Tera Karam Jo Agar Aik Baar Ho Jaye

Poet: Ajmal By: Ajmal, Bradford, W. Yorkshire, England

Tera Karam Jo Agar Aik Baar Ho Jaye
Khizaan Ka Daur Bhi Mislay Bahaar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Har Aik Saans Mein Shamil Ho Naam-E Paak Tera
Meri Hayat Nabi Per Nisaar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Darood Itna Parho Jo Kabhi Shumar Na Ho
Salaam Bhaijo Agar Beshumar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Ussay Azab-E Qabar Hay Na Der Qayamat Ka
Diyar-E Pak Ka Jo Khaksaar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Mein Bhool Ker Bhi Unhein Yaad Kerna Na Bhooloon
Nabi Ka Zikr Mera Ghamgusaar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Pukarti Hey Usse Rehmat-E Khuda Her Shab
Gunahgar Agar Sharmsar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Tamam Rastay Miltay Hein Aik Markaz Per
Agar Aqeeda Saheeh Ikhtiyar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Nabi Ke Naam Ki Nisbat Ke Mojzay Dekho
Ghulam Ho Ke Koee Zee Waqar Ho Jaye
Tera Karam Jo Agar Aik Baar

Rate it:
Views: 823
27 Aug, 2010
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets