Add Poetry

Tamaashaa Bana Gaya Ek Shakhs

Poet: By: Ubaid Gabani, Karachi

Bana Gulaab To Kaante Chubhaa Gaya Ek Shakhs
Hua Chiraagh To Ghar Hi Jhalaa Gaya Ek Shakhs

Tamaam Rang Mere, Or Saare Khawaab Mere
Fasana Tha Ya Fasana Bana Gaya Ek Shakhs

Mein Kis Hawa Mein Udhoon Kis Fiza Mein Lehraoon
Dukhon Ke Jaal Har Soo Bichaa Gaya Ek Shakhs

Palat Sakoon, Na Hi Aage Barh Sakoon Jis Par
Mujhe Ye Kaunse Raaste Par Laga Gaya Ek Shakhs

Muhabbatein B Ajab Uski, Nafratein B Kamaal
Meri Hi Tarah Ka Mujh Mein, Samaa Gaya Ek Shakhs

Mohabbato Ne Kisi Ki Bhulaa Rakha Tha Use
Miley Vo Zakhm, Ke Phir Yaad Aa Gaya Ek Shakhs

Vo Mahtaab Tha, Marham Badast Aaya Tha
Magar Kuch Or Siva Dil, Dukha Gaya Ek Shakhs

Khula Ye Raaz Ke Aainaa Khaana Hey Duniya
Or Is Mein Mujh Ko Tamaashaa Bana Gaya Ek Shakhs

Rate it:
Views: 340
14 Jan, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets