Add Poetry

Tallaash Main

Poet: Nayyab By: Muhammad Nadeem Abbas, Lahore

Main raahi akela tha khushiyon ki talaash mein
Na tah koi saath mere is kaainat mein

Dar dar raha bhatakta main kai raaston par
Jo bhi mile the masroof apni hi talaash mein

Dil ne kaha choor de umeed tu ab khushi ki
Chupa kar is aas ko nikal ghum ki talaash mein

Rahen aati gayi manzilein jaati gayi hum chalte gaye
Talaash mein the jis talaash ki woh ayi na rah mein

Kya karein is talaash ko ab hum rok bhi nahi sakte
Raasta bhatak gaye is talaash ki talaash mein

Yeh kaise kash-mo-kash mein hum phas gaye
Koi hum ko bhi talash kare jo kho gaye is talaash mein

Rate it:
Views: 779
23 Nov, 2007
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets