Add Poetry

Shakl E Aahsiq Se Maashooq Bezaar He

Poet: By: Bisma Jamil Ahmed Baloshi, Karachi

Kiya Yahi Ishq He
Kya Yahi Pyaar He
Shakl E Aahsiq Se Maashooq Bezaar He
Taali Pe Magfirat B To Koi Baney
Ye Baja He K Allah A Ghaffar He
Koi Esaai He Koi Mirzaai He
Masiat Masiat Par B Israar He
Kya Yahi Ishq He
Kya Yahi Pyaar He
Shakl E Aahsiq Se Maashooq Bezaar He
Aur Tu He K Sota He Ghar Me Para
Josh Imaan K Shayad Bemaar He
Apni Hasti Ko Haq Par Mita Kar Dikha
Aey Musalma Agar Tu Wafadaar He
Kiya Yahi Ishq He
Kya Yahi Pyaar He
Shakl E Aahsiq Se Maashooq Bezaar He
Assalaat Assalaat Ummati Ummati
Waqt E Rukhsat Yahi Wird E Sarkaar He
Aur Ye Ummati Uff Khuda Ki Pana
Jinko Sunnat Pe Chalna B Dushwaar He
Kiya Yahi Ishq He
Kya Yahi Pyaar He
Shakl E Aahsiq Se Maashooq Bezaar He

Rate it:
Views: 571
11 Aug, 2010
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets