Add Poetry

Jaam,Shamsheer,Yaadein,Hijra

Poet: badar badauni By: badar badauni, Karachi

Aur Ek Jam Agar Mujh Ko Pilaaya Jaaye
Pehle Ik Baar Mujhe Hosh Me Laya Jaye

Jisko Aadat Ho Baar Baar Girne Ki
To Usko Har Baar Na Uthaaya Jaaye

Badan Ke Sath Gire To Kuch Baat Bane
Khaali Shamsheer Ko Na Giraaya Jaaye

Farsh E Dil Par Bikhri Padi Hen Yaadein
Aaj Tarteeb Se Ghar Mein Sajaaya Jaaye

Fir Aane Wala Aaya He Hijr Ka Mausam
Ab In Aankho Me Kajal Na Lagaaya Jaayea
 

Rate it:
Views: 488
21 Aug, 2016
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets