Add Poetry

Hum Tabahiyon Ke Darr Se

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Hum Tabahiyon Ke Darr Se Aashiyaana Chodkar
Iss Tarha Nikle Ki Tufaan Dar-Ba-Dar Milte Rahe

Ye Hamara Tha Muqaddar Bewafa-E-Shahr Mai
Dhoonde Bin Hi Doston Ke Ghar Hi Ghar Milte Rahe

Meri Gurbat Pe Bhi Uski Meharbaani Ho Gayi
Tinko Tinko Mai Hi Mujhko Maal-O-Zar Milte Rahe

Uski Doulat Ne Hi Uske Saath Mai Aisa Kiya
Wo Udaa Thoda Sa Lekin Par Ke Par Girte Rahe

Hosh Waalo Ka Bhi Aisa Haal Aaya Saamne
Bekhudi Mai Jhoomte Wo Be-Khabar Milte Rahe

Jaat-Paat Aur Dharm Ke Naam Pe Ladte Gaye
Main Chala Jo Do Kadam To Sar Ke Sar Milte Rahe

Jitni Neqi Thi Tumhaari "Shams" Usse Zayada They Gunhaa
Isliye To Tumko Dozakh Ke Nagar Milte Rahe
 

Rate it:
Views: 282
30 Aug, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets