Add Poetry

Halaat-e-Dunya

Poet: Fahad Nadeem 'Burq' By: Fahad Nadeem, Lahore

Maine Kitne Logon Ke Haath Mein, Manfi Ka Jhanda Dekha
Lekin Jab Aankhein Khuli, Apna Bhi Aangan Ganda Dekha

Bholi Shakal, Aadatein Kharab, Shaitaan Ke Munh Pe Daadhi Hai
Kya Yehi Hai Huqooq-E-Niswa, Aurat Chalati Ghadha Gaadhi Hai?

Bhola Banda Andar Kardoh Mujrim Ko Milti Bail Hai
Izzat Toh Sabki Karta Hoon, Meri Apni Lene Gayi Tel Hai

Humsaya Apna Gaadi Le Le, Haste Haste Hum Jaltay Hain
Rishtedar Aage Nikal Jain, Hum Khushi Khushi Sai Sadhtay Hain

Beta Ghar Se Bahar Na Niklo Tumhari Izzat Ko Khatra Hai
Par Khud Dusron Ki Izzatein Lootay Aisa Banda Bhi Takra Hai

Paraye Sagay Hone Ka Natak, Apne Choot’te Jaate Hain
Kya Yehi Hai Rishton Ki Ahmeiyat? Joh Pal Mai Toot Jaate Hain

Bazar-E-Husn Mein Mazay Se Apni Dawlat Lutane Chale
Yehi Paise Gharoob Ko Do, Kam Se Kam Chula Toh Jale

Koi Jese Kuch Kar Nahi Sakta Bandhi Ek Zanjeer Hai
Chota Banda Hi Girta Hai Aur Girane Wala Ameer Hai

Apni Izzat-E-Nafs Bhi Samjho Dusroon Ki Izzaton Mein Hai
Nafrat Mein Woh Maza Hi Nahi Jo Mohabbat Ki Lazzaton Mein Hai

Agar Main Nahi Likhta Toh Kisi Aur Ne Likh Liya Hota
Burq Yeh Likhne Se Acha, Khud Ko Sudhaar Liya Hota

Sahara Dete Dete Gira De Maine Aisa Kandha Bhi Dekha
Lekin Jab Aankhein Khuli, Apna Bhi Aangan Ganda Dekha
 

Rate it:
Views: 400
15 Apr, 2023
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets