Add Poetry

Aisay Bikhra Hai Bohat Be-Daam Ho Jaisay

Poet: S. Sadia Amber Jilani By: Syeda sadia amber jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistan

Aisay Bikhra Hai Bohat Be-Daam Ho Jaisay
Ik Shakas Manzil Pay Nakaam Ho Jaisay

Ik Bazar Garam Hai Jazbo'n Ki Sudaagari Hai
Apnay Mufado'n Ki Tajaarat Aam Ho Jaisay

Tu Jo Bichrra Hai Tu Sara Shehar Bicharr Giya Hai
Teray Shehar Ki Har Cheez Pay Tera Naam Ho Jaisay

Aisa Bhi Kiya Guraiz K Millnay Say Gaiye Ho
Koi Khata Hai Muhabat Koi Ilzaam Ho Jaisay

Lehjay Qaatil Hain Tu Lafaz Zehar Hai Koi
Aur Zindagi K Talwaar Be-Niyaam Ho Jaisay

Likhtay Ho Haraf-E-Galat Ki Tarah Mitta Detay Ho
Main K Koi Khiyaal-E-Khaam Ho Jaisay

Uss Ki Aankho'n Mein Ajab Sakoot Thaa Amber
Siyaah Raat Say Pehlay Udaas Shaam Ho Jaisay

Rate it:
Views: 488
02 Dec, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets