Add Poetry

Aik Gaaye aur Bakri ( makhoz ) Bachon Ke Liye

Poet: Allama Iqbal By: Arfa Siddique, Karachi

Ik Charagah Hari Bhari Thi Kahin
Thi Saraapaa Bahhar Jis Ki Zamee
Kya Samaa Is Bahhar Ka Ho Bayan
Har Taraf Saaf Nadyaan Theen Rawan
Thay Anaron Ke Be Shumaar Darakht
Aur Peepal Ke Saya Daar Darakht
Thandhi Thandhi Hawae Aati Theen
Tairon Ki Sadayen Aati Theen
Kisi Nadi Ke Paas Ik Bakri
Chrte Chrte Kahin Se Aa Niklee
Jab Thehr Kar Idhar Idhar Dekha
Paas Ik Gaaye Ko Kharray Paaya
Pehlay Jhuk Kar Usay Salam Kya
Phir Saliqay Se Yun Kalaam Kya
Kyun Barri Bi! Mizaaj Kaisay Hain
Gaaye Boli Ke Kher Achay Hain
Kat Rahi Hai Buri Bhali Apni
Hai Museebat Mein Zindagi Apni
Jaan Par Aa Bani Hai, Kya Kahiye
Apni Qismat Buri Hai, Kya Kahiye
Dekhatii Hon Khuda Ki Shaan Ko Mein
Ro Rahi Hon Baaroon Ki Jaan Ko Mein
Zor Chalta Nahi Ghareebon Ka
Paish Aaya Likha Naseeboon Ka
Aadmi Se Koi Bhala Nah Kere
Is Se Paala Parre, Khuda Nah Kere
Doodh Kam Dun To Barbarataا Hai
Hon Jo Dubli To Beech Khata Hai
Hthkndon Se Ghulam Karta Hai
Kin Fareebon Se Raam Karta Hai
Is Ke Bachon Ko Paalti Hon Mein
Doodh Se Jaan Daalti Hon Mein
Badlay Neki Ke Yeh Buraiee Hai
Mere Allah ! Tri Dahai Hai
Sun Ke Bakri Yeh Maajra Sara
Boli, Aisa Gilah Nahi Acha
Baat Sachhi Hai Be Maza Lagti
Mein Kahoon Gi Magar Khuda Lagti
Yeh Charagah, Yeh Thandhi Thandhi Howa
Yeh Hari Ghaas Aur Yeh Sayaa
Aisi Khusihyan Hamein Naseeb Kahan
Yeh Kahan, Be Zuba Ghareeb Kahan !
Yeh Mazay Aadmi Ke Dam Se Hain
Lutaf Saaray Isi Ke Dam Se Hain
Is Ke Dam Se Hai Apni Abadi
Qaid Hum Ko Bhali, Ke Azadi !
So Terhan Ka Banon Mein Hai Khatka
Wahn Ki Guzran Se Bachaaye Khuda
Hum Pay Ahsaan Hai Bara Is Ka
Hum Ko Zaiba Nahi Gala Is Ka
Qader Aaraam Ki Agar Samjhoo
Aadmi Ka Kabhi Gilah Nah Karo
Gaaye Sun Kar Yeh Baat Sharmayi
Aadmi Ke Gilaay Se Pachtai
Dil Mein Parakhaa Bhala Bura Is Ne
Aur Kuch Soch Kar Kaha Is Ne
Yun To Choti Hai Zaat Bakri Ki
Dil Ko Lagti Hai Baat Bakri Ki
 

Rate it:
Views: 2807
02 Feb, 2015
Related Tags on Allama Iqbal Poetry
Load More Tags
More Allama Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets