Add Poetry

Afsos Yeh Raha Hai

Poet: ayaz ali ayaz By: ayaz, usta mohammad jaffar abad

Afsos Yeh Raha Hai Mujhe Meri Zaat Ka
Marzi Se Jee Saka Na Main Pal Bhi Hayaat Ka

Rishton Ki Bat Man K Rasmo Se Jhuk Gaya
Wadon Se Haar Man K Qasmoo Se Jhuk Gaya

Ab Kis Se Kia Gila Karon Aur Kis Ki Bata Ka
Marzi Se Jee Saka Na Main Pal Bhi Hayat Ka

Ye Jan K Bhi Tujhko Pana Ha Bada Mushkil
Karna To Main Bhi Chahon Par Ksy Kron Hasil

Hathon Main Jab Nahi Koi Tehreer Sath Ka
Marzi Se Jee Saka Na Main Pal Bhi Hayat Ka

Kehti Hai Mujhse Duniya Tujhko Bhula Don Main
Veraan Zindagi Ko Phir Se Saja Don Main

Koi To Raah Dhondo Ghum Se Nijaat Ka
Marzi Se Jee Saka Na Main Pal Bhi Hayaat Ka

Yadien Tumhari Dil Se Mumkin Nai Mitana
Duniya Ko Kia Khabar Hai Kaisa Hai Dil Lagana

Koi Subah Nahi Hai Ashiq Ki Raat Ka
Marzi Se Jee Saka Na Main Pal Bhi Hayaat Ka
 

Rate it:
Views: 941
22 May, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets