Add Poetry

Ae Mulk-e-Hind-e-Azaadi

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Ae Mulk-E-Hind-E-Azaadi
Teri Sarparastiyon Mai
Hum Jaan Bhi Luta Dein
Ye Jahaan Bhi Luta Dein

Jo Teri Sifa K Khatir
Qurbaan Ho Gayein Hain
Unki Nazar Ye Dil Ki
Sab Khawahishein Mita Dein

Ae Mulk-E-Hind-E-Azaadi
Teri Sarparastiyon Mai
Hum Jaan Bhi Luta Dein
Ye Jahaan Bhi Luta Dein

Kya Kya Na Tune Dekha
Mittey Huey Yahan Par
Un Sab Miti Kahawo Pe
Dil-E-Kashmakash Gawa Dein

Ae Mulk-E-Hind-E-Azaadi
Teri Sarparastiyon Mai
Hum Jaan Bhi Luta Dein
Ye Jahaan Bhi Luta Dein

Dil Mai Tha Jazba-E-Hind
Sar Pe Kafan Tha Jinke
Un Desh Bhaktiyon Ko
Kaise Bhala Bhula Dein

Ae Mulk-E-Hind-E-Azaadi
Teri Sarparastiyon Mai
Hum Jaan Bhi Luta Dein
Ye Jahaan Bhi Luta Dein

Maaon Ne Laal Khoye
Is Maa-E-Hind Ki Wajha Se
Un Maaon Ki Kurbaaniyon Ko
Dil Mai Hum Jagha Dein

Ae Mulk-E-Hind-E-Azaadi
Teri Sarparastiyon Mai
Hum Jaan Bhi Luta Dein
Ye Jahaan Bhi Luta Dein

Azaad Hai Watan Ab
Azaad Har Koi Hai
Lekin Wo Khoon-E-Jazbaa
Q Dil Se Hum Mita Dein

Ae Mulk-E-Hind-E-Azaadi
Teri Sarparastiyon Mai
Hum Jaan Bhi Luta Dein
Ye Jahaan Bhi Luta Dein.
 

Rate it:
Views: 554
15 Aug, 2014
More Political Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets