Add Poetry

Aaney Ka Kisi Shakhs K Imkaan Baaqi Hai

Poet: Alone Poet By: Rao Awais Sagheer, Kabirwala

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Muddat Hoi Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Wo Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Bikhri Hoi Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai

Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-E- Safar Baandhain
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti Awais
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-E-Makaan Baaqi Hai . . .
 

Rate it:
Views: 366
02 Oct, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets