Add Poetry

16 December/Maa Teri Qasam

Poet: HuKhan By: HuKhan, Karachi

Wo Masoom Farishtay
Wo Agh Barsaatee Machine
Wo Behta Lahuu
Wo Bebasi Baap Ki
Wo Duhaiee Maa Ki
Wo Kal Humara
Khoon Mein Lat Pat
Dam Tortee Insaniyat
Asmaan Bee Roya Hu Ga
Wo Un Ki Masoom Khaheishein
Ankhun Kay Khabh
Har Shae Lahu Lahu
Kainaat Bee Surkh
Jasay Maa Ka Kalija Munh Ko Aya Hu Ga
Kasay Baap Nay Masoom Lashaa Uthaya Hu Ga
Wo Kitabun Kay Lahu Lahaan Alfaaz
Nohaa Kartee Copiaan
Matam Zada Un Kay School Bag
Un Kay Nanhay Demagh
Sawaal Pochtay
Eid Qurbaan Tu Nahi
Pher Humaree Qurbani Qun Kar
Pher Kici Nay Pukara
Watan Ki Miti Lahu Manghtee Hay
Pher Muskarein Hun Gay
Lay Lo Jitna Bee Chaiye
Ye Lahu Humara Sabhee
Ye KHUDA Ki Marzee
Ye Humaray Barun Ki Ughaiee Fasal
Kat Rahay Ajh Hum
Mera Uniform Na Khurabh Kerna
Mein School Kabi Late Na Hua
Pher Ye Tu KHUDA Ka Bulawa Hay
Suno Farishatay Martay Nahi
Meri Maa Ko Delaasa De Dena
Mein Hun Shaheed
Maa Shaheed Kabi Martay Nahi
Han Janat Kay Baghun Mein Hein Hum
Maa Mujhay Teri Qasam
Ye Jhoot Nahi Sach Hay
Mein Ajh Bee Shararat Karta Hun
Farishtay Zara Bee Nahi Dantaty Maa Teri Qasam
Qasam Maa Teri Qasam
Sada Rahay Salaamat Mera Chaman
Kia Hua Ju Ajh Nahi Hein Hum
Jaan Se Bahr Kay Kia Detay Hum
Aye Meray WatanSun Lo
Dekhna Ubh Na Aye Koi Isay Zakham
Mein Ajh Bee Zinda Hun Maa Teri Qasam

Rate it:
Views: 1459
16 Dec, 2016
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets