✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Sajid Manzoor Awan
Search
Add Poetry
Poetries by Sajid Manzoor Awan
Mohabat Ho To Aisi Ho
Kabhi Sahra C Peyasi Ho , Kabhi Saghar K Jisi Ho
Kabhi Shola Kabhi Shabnam Mohabat Ho To Aisi Ho
Kabhi Be Bechain Dil Dharky Kabhi Ankhain Sulag Jain
Basy Dil Main Umer Bhar Jo Moorat Ho To Aisi Ho
Kisay Sochon Kisay Chahon Mere Dil Ki Ye Marzi Hai
Mere Dil Pay Bany Hakam Dunya Ki Aisi Tasi Ho
Na Janat Ki Afsara Ho Ho Na Parioon K Jisi Ho
Mery Dil Main Jo Rehti Ho Na Aisi Ho Na Wasi Ho
Wafa Us Ki Adaon Main Haya Us Ki Nighahon Main
Jan Sajid Ki Us Main Ho Rooh Us Ki Payasi Hi
Sajid Manzoor Awan
Copy
Jala Dean Main Ne Tasverain Khat
Jala Dean Main Ne Tasverain Khat Saray Jala Dalay
Likhay Thay Jo Divaroon Pay Nam Tumhary Mita Dalay
Nadani Ki Chahat Ne Koi To Rang Dikhana Tha
Purani Us Ne Chahat Ko Naiy Kaprhay Pehnaa Dalay
Usay Chahna Juram Mera ,Hijer Us Ka Saza Meri
Wafa Ki Us Ne Rahoon Pe Kya Kantay Bicha Dalay
Mila Hum Se To Wo Aisay , Koi Anjan Ho Jaisy
Purani Us Ne Qabroon Pe Naiy Katbay Laga Dalay
Kyon Chup Tha Mudat Se Dard Itna Kyon Sehta Tha
Ik Pal Main He SAJID Ab Gham Saray Suna Dalay
Sajid Manzoor Awan
Copy
Khud Gharz Wo Manad-E-Zamana
Khud Gharz Wo Manad-E-Zamana Nikla
Us Ka Wada Bhi Eik Bahana Nikla
Wo Ghyia To Shaher Hoa Waeran Aisay
Jisay Sheher Sara Us Ka Diwana Nikla
Her Chahray Pay Gum Ki Dastan Hai
Rishta DIL Se Us Ka Parana Nikla
Sajid Manzoor Awan
Copy
Kisi Bewafa Se Wafa Kar Li Jay
Kisi Bewafa Se Wafa Kar Li Jay
Eik Bar Chalo Pir Khata Kar Li Jay
Do Jisam Jan Eik Ban Jain Kaash Hum
Utha Kar Hath Ye Dua Kar Li Jay
Teri Jab Mohabat Zakham Hi Zakham Hain
To Dard Se Dard Ki Dua Kar Li Jay
Tujay Bhi Ho Kash Ahsaas-E-Mohabat
Bazm Main Teri Jo Sada Kar Li Jay
Bana Day Na SAJID Ko Sehraon Ka Rahi
Mohamat Agur Pir Aay KHUDA Kar Li Jay
Sajid Manzoor Awan
Copy
Jab Bhi Deta Hai Wo Kuch Mujhe
Jab Bhi Deta Hai Wo Kuch Mujhe To Saza Deta Hai
Par Us Ki Chahat Main Trapna Bhi Maza Deta Hai
Jab Kabhi Kholey Hai Wo Sar-E-Shaam Zulfain Apnain
To Pir Us Ka Chalna To Fizaon Ko Nasha Deta Hai
Us Ki Ankhon Main Hai Shayed Geelon C Gheharai
Dikhney Wala To Usey, Bchaney Ki Sada Deta Hai
Us Ki Baaton Main Sahar Hai, Or Adawon Main Nashah
Milney Wala To Usey Apni Jaan Ghanwa Deta Hai
Jo Bhi Dekhey Usey SAJID, Us Ka Dewana Ho Jaey
Marney Wala Bhi Usey, Jiney Ki Dua Deta Hai.
Sajid Manzoor Awan
Copy
Adhuri Chahtain Janan, Umer Sari
Adhuri Chahtain Janan, Umer Sari Stain Giin
Kabhi Shab Bher Jgain Giin , Kabhi Shab Bher Rukain Giin
Nai Raahun Per Chal Ker Main, Kabhi Taskeen Jo Chahun, To
Bnain Giin Berian Ek Din, Purani Raahain Bulain Giin
Teri Haalet Juda Kab Hy, Mujhy Maloom Hy Janan
Tera Dil Bhi Tu Roye Ga Puranni Yadain Jab Aain Giin
Mer Manzil Juda Kab Hy Teri Manzil Juda Kab Hy
Daikhna Pyar Ki Raahain, Ek Din Mil He Jain Giin
Dil Us Ka Bhi SAJID Dharekna He Bhul Jaye Ga
Uski Sakhiaan Kabhi Meri Jo Batain Sunain Giin
Sajid Manzoor Awan
Copy
Muhabbat Rog Hay Janan
Muhabbat Rog Hay Janan Mujabbat Ab Nahin Ho Gi
Muhabbet Ek Tamasha Hy Shikayet Ab Nahin Ho Gi
Umer Saari Pooja Tha Husen Kay In Khudaoon Ko
Muhabbet Ger Ibadet Hy ,Ibadet Ab Nahin Ho Gi
Fasaany Bht Bikty Hain Purany Kaye Zamany Say
Muhabbet Ek Reyaet To Reyaet Ab Nahin Hu Gi
Chuna Thja Husen Deewarun Main Yae Keh Ker Bhi Akber Nay
Muhabbet Ger Bghawet Hy Bghawet Ab Nai Hu Gi
Tooti Jab Teer Mirzy Kay Pukara Wo Bhi Yae Aakhir
Muhabbet Ger Nazaket Hay Nazaket Ab Nahin Ho Gi
Likha Ek Lafz Muhabbet Tha Majnuu Nay Mita Dala
Muhabbet Ger Inayet Hy Inayet Ab Nahin Ho Gi
Utha Ker Phool Ker Patti Nazaket Say Masek Dali
Muhabbet Ger Nazaket Hy Nazaket Ab Nahin Ho Gi
Jala SAJID Jo Perwana Pukara Wo Bhi Yae Akhir
Muhabbet Ger Aqeedet Hy Aqeedet Ab Nahin Ho G
Sajid Manzoor Awan
Copy
Tu Appni Jagha Pe Theek Tha
Tu Appni Jagha Pe Theek Tha
Main Appni Jagha Pe Theek Tha.
Kahain Tu Zid Per Urha Raha
Kahain Main Aana Pe Theek Tha
Sajid Manzoor Awan
Copy
Pyar Karun Main Kasiay Bayan
Pyar Karun Main Kasiay Bayan Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Nazer Bhi Rakhti Hay Zuban Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Gheron Say Tery Milny Say Guzri Mery Py Kia
Dil Main Uthta Hy Tufaan Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Behlany Say Behla Nahin Samjhany Say Samjha Nahin
Dil To Tehra Hay Nadan Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Tery Name Ki Takhti Hay Orun Kay Liye Sakhti Hay
Dil Ka To Hai Khali Makan Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Tujh Say Kia Shikwah Krun Samny To Kuch Main Nahin
Aashiq To Hain He Bezaban Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Chalta Tu Khud Py Bus Nahin Pyar Nahin To Hai Kia
Main Hon Yahan To Hai Wahan Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Bool Khamoosh Hay Kion Gham Main Madhoosh Hay Kion
Tu To Hai SAJID Ki Jaan Tujh Ko Kia Maloom Nahin
Sajid Manzoor Awan
Copy
Aankhain Dil Ka Aaina Hoti Hain
Aankhain Dil Ka Aaina Hoti Hain
Lakin
Dil Main Likhi Tehreer
Wo He Shakhs Perha Sakta Hy Jis Kay Liye Likhi Gai Ho
Main Nay Tumhary Dil Main Likhi Her Tehreer Perhi Hai
Jo Mujh Say Keh Rahi Thi
Aaao In Main Doob Jao
Mery Dil Ko Tu Ek Muddat Say Tumhari He Talash Thi
Lekin
Main Nay Kuch Nahin Kaha
Hu Sakta Hy Koi Samjhy Kay Main Is Baat Say Derta Tha
Keh
Meri Perhi Hoi Tehreer Galet Sabit Na Ho
Eik Hud Tak Tu Yae Baat Bhi Theek Hai
Keh
Ho Sakta Hay Yae Sab Mery He Jazbat Ka Aks Ho
Jo Main Nay Tumhari Aankhun Main Daikhna Chaha Ho
Laykin Yae Kehna Bhi Durust Nahin
Main Is Baat Say Itna Bhi Nahin Derta Tha
Jitna Kay
Kisi Apny Kay Bicher Jany Say
Sajid Manzoor Awan
Copy
Main ne jab kbhi jinay k tumana ki
Main Ne Jab Kbhi Jinay K Tumana Ki
Sach To Ye Hai K Teri Hi Tumana Ki
Ujalon Main Din K Raat Khoabon Main
Rahay Pass To Miry Yehi Tumana Ki
Bhool Kar Bhi To Mujh Se Na Jodha Ho
Khuda Se Yehi Chote C Tumana Ki
Aankhon Main Samaon Kajal Ki Tarha
Meray Dil Ne Jo Chaha Wohi Tumana Ki
Mera Hi To Tha Wo Jab Se Tha Sajid
Waqat Be Waqat Us Ki Yonhi Tumana Ki
Sajid Manzoor Awan
Copy
Eik Bar Jo Kehty Mere Ho Soo
Eik Bar Jo Kehty Mere Ho Soo Bar Ye Jaan Luta Deta
Tere Bahoun K Gheroun Me Lamhoun Me Umer Beta Deta
Aa Jata Jo Milne Tu, To Tera Kya Jata Zalim.
Main Vasal K Ik Lamhy Se Umer Ka Hijjar Chuppa Deta
Tujhy Aana Tha Na Aya Mera Dil Bohat Dukhaya
Behter Tha Jo Mujh Ko Tu Na Aane Ki Wajha Bata Deta
Agar Milna Hota Tu Ne Mujhy To Milne Ki Umeed Pe
Do Din Kya Main Intazar Me Do Saddiyan Bhi Sada Deta
Aa Jata Jo Sajid Wo Tu Dil Usy Dua Deta
Eik Bar Jurm Suna Deta Phir Chahy Jo Sazza Deta
Sajid Manzoor Awan
Copy
Badla Jab Bhi Koi Mosam Wo Yaad
Badla Jab Bhi Koi Mosam Wo Yaad Aa Gia Mujay
Jo Shakhas Wafa K Bojh Talay Daba Gia Mujay
Main Ne Jab Kbhi Bhi Chaha Tha Bhoolna Usay
Aaya Wo Sajid Yaad Main Or Rola Gia Mujay
Sajid Manzoor Awan
Copy
Aajab Taskeen Milte Ha
Aajab Taskeen Milte Ha Mujhay Tere Yaad Aane Se
Tere Yaad Main Sajan Chand Aansoo Bahane Se
So Jata Hai Dil Tere Yadoon Ka Choga Orh K
Bara Chain Milta Ha Mujhay Tere Muskarane Se
Mery Qismat Main Tu Nahain Hai Jab Ye Mallom Ha Mujh Ko
To Kia Faida Hai Phir Rait Per Ghar Bnane Se
Ye To Barson Ki Rafaqat Thi Sajid Main Bhool Na Paya
Tere Yad Or Aate Hai Tere Yaddain Bhoolane Se
Sajid Manzoor Awan
Copy
Waaday Sath Chalnain K Kahain
Waaday Sath Chalnain K Kahain Tum Bhool Mat Jana
Duokh Suokh Apne Sane Sanjhe Thy Kahain Tum Bhool Mat Jana
Tere Batoon Se Dil Ko Bharhe Taskeen Milte Thi
Sun Lo Ye Kahane Walay, Kahain Tum Bhool Mat Jana
Larhna Sari Duniya Se Faqut Ek Bat Karne Ko
Maasoom Mohabat Bhare Jazbe Kahain Tum Bhool Mat Jana
Jab Bhi Eid Aaye To Tum Khudara Yaad Ker Laina
Basana Sanson Main Mujhy , Kahain Tum Bhool Mat Jana
Nahain Milta Wo Ek Mudat Se Ab Kase Kahon Sajid
Boohat Tum Se Mohubat Hai Kahain Tum Bhool Mat Jana
Sajid Manzoor Awan
Copy
Sachay Joothay Aankhon Ne
Sachay Joothay Aankhon Ne Kia Kia Khowab Dikhay Thay
Mohabat Ki Chahat Lay Kar Teray Shahir Jab Aay Thay
Dikh Kar Ulfat Janay Kion Hum Nadan Ye Bhool Gay
Kis Chahray Ne Chahray Per Kitnay Chahray Sajay Thay
Tanha Bhethay Jab Mehfil Main Tab Humain Ahsas Hoa
Jo Chorh Gay Beasrah Humahin Wo Appnay Kab Pray Thay
Eik Mooj Ki Masti Ki Masti Se , Saray Arman Dhoob Gay
Sahil Pat Ryat Se Hum Ne Janay Kitnay Gar Banay Thay
Choti Se Eik Choot Ne SAJID Dil Kisay Thoorh Dia
Warna Dil K Andar Hum Ne Kia Kia Dard Chopaay Thay
Sajid Manzoor Awan
Copy
Bachy Thay To Rishtay Kitnay Sachay Thay
Bachy Thay To Rishtay Kitnay Sachay Thay
Nafraat Bhri Mohabat Se To Achay Thay
Doob Gay Hain Nafrat K Daryain Main
Mohabtoin K Gharhay Saray Hi Kachay Thay
Sajid Manzoor Awan
Copy
Zindagi Jab Hath Se Jane Lage
Zindagi Jab Hath Se Jane Lage
Babasi Insaan Ko Nazar Aane Lage
Main To Samjha Tha K Ye Rishty Kuch Nahain
Mout Jo Aaye , Sub Yaad Aane Lage
Eik Pal Main Hi Ye Rishte Toot Gye
Jin Ko Bnany Main ,Thy Zamane Lage
Hai Haqeequt Zindagi Ki To Kia Hoa
Choor Kar Tanha Mujhe Sub Jane Lage
Mout Per Meri Jo SAJID Nidhaal Thy
Roo K Do Pal Sub, Muskurane Lagea
Sajid Manzoor Awan
Copy
Usy Neend Kahain Aati Hai
Usy Neend Kahain Aati Hai Mera Khial Jab Aata Hai
Jaan Us Ki Hi Nikal Jati Hai Mera Khial Jab Aata Hai
Tanha Jab Bhi Hoti Hai , Khud Se Ulajti Rahti Hai
Usi Sharam Si Pir Ati Hai Mera Khial Jab Aata Hai
Mehfil Main Bhi Bith Kar Tanha Nazar Wo Aati Hai
Pir Wo Kitna Moskarati Hai Mera Khial Jab Aata Hai
Poochti Hain Jab Usay Ye Maan Chali Si Saheliyain
Batain Wo Kia Banati Hai Mera Khial Jab Aata Hai
Mujay Sajid Khabar Hai Ye, Tanhaei Main Wo Bith Kar
Khud Ko Barha Jalati Hai Mera Khial Jab Aata Hai
Sajid Manzoor Awan
Copy
Wafa K Koi Pass Rakhta
Wafa K Koi Pass Rakhta Wafa Na Kartay To Bat Karta
Khathan Rah Pay Qadam Barhata Na Sath Chaltay To Bat Karta
Aana Ki Chadar Utaar Kar Sir Se Humarai Khatar
Koi Aah To Bharta Hum Mar Na Jatay To Bat Karta
sajid manzoor awan
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets