Add Poetry

Zabat Kitna Hi Aazmaya Ho Ga

Poet: S. Sadia amber jilani By: Syeda sadia amber jilani, FaisalAbad, Punjab, Pakistani

Zabat Kitna Hi Aazmaya Ho Ga
Ik Ashk Jo Aankh Mein Aya Ho Ga

Yeh Kiya K Ronay Pay Bhi Pabandi
Goya Zabat Sooli Pay Charrhaya Ho Ga

Talkhi-E-Doraa'n Ki Nazar Kati Umer-E-Insaa'n
Mar K Khoub Jishan Tu Manaya Ho Ga

Woh Jo Muskurata Hai Baat Be-Baat Bhi Itna
Khud Ko Kai Baar Behlaya Ho Ga

Suna Hai Aaj Kal Udaas Hai Woh Bhi
Kisi Nay Haal Mera Shayed Sunaya Ho

Ussay Aadat Thi Mera Naam Likhnay Ki
Kitni Baar Uss Nay Mujhay Mittaya Ho Ga

Likha Ho Ga Uss Nay Tuaraf Mein Mujhay
Ik Diwana Koi Majnu Bataya Ho Ga

Woh Jo Sar-E-Shaam Bhi Meray Saath Hai Rehta
Mujh Saa Diwana Mera Saya Ho Ga

Ussy Maloom Hi Nahi Hakeekat Meri Amber
Meri Muskan Say Woh Doka Khaya Ho Ga
 

Rate it:
Views: 865
22 Oct, 2017
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets