Add Poetry

Mai Aur Meri Gam_E_Tanhaaai

Poet: mahi hoda ansari By: maahi hoda ansari, vns

Ek Roz Ye Ehsaas Hua
Ham Adhure Se Hai
Akhir Kami Kyu Hai
Khushiya Dher Saari Hai
Phir Bhi Aankho Me Nami Kyu Hai
Wajah Kya Hai
Ke Ham Khaamosh Ho Gaye Hai
Gamo Me Shaamil
Khushiyo Se Door Ho Gaye Hai
Raaz Koi Na Raazdar Koi Ab Saath Raha
Mai Tanha Aur Dil Udaas Raha
Dil Bhi Puchta Hai
Ham Udaas Kyu Hai
Sab To Hai Paas Phir Aas Kyu Hai
Jab Wo Tha To Ehsaas Na Hua
Kabhi Wo Mere Liye Itna Khaas Na Hua
Wajood Adhura Hai Hamara
Zindagi Ye Batane Chali Aayi
Pure Tab Honge Jab Milenge
Main Aur Meri Gam-E-Tanhaai
 

Rate it:
Views: 456
21 Jun, 2017
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets