Add Poetry

Mere Dar Se Jaane Kyun

Poet: Shamsul Hasan "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Mere Dar Se Jaane Kyun Teri Aahat Nhi Jaati
Tujhe Kho Kar Paane Ki Kyun Hasrat Nhi Jaati

Mere Aansoo Bhi Rotey Hai K Main Bhi Shor Karta Hun
Tere Paas Tak Kya Meri Aahon Ki Dastak Nhi Jaati

Mujhe Har Soo Se Nafrat K Hi Tohfon Ne Nawaza Hai
Na Jaane Phir Bhi Kyun Mere Dil Se Ye Mohabbat Nhi Jaati

Gali Koochon Mai Phirta Hun Teri Tasveer Ko Lekar
Humesha Ki Tarha Bas Meri Ye Aadat Nhi Jaati

Hume Apno Se Ladne Pe Ye Kyun Majboor Karti Hai
Kyun Mere Mulq Se Badnaam Shiyasat Nhi Jaati

Humesha Chand Sikkon Ki Talab Aur Bhookh K Maare
Gareebon K Makaano Se Kyun Ye Ghurbat Nhi Jaati

Alag Ek Shahr Ho Iss Mulq Mai Inn Bewafaaon Ka
Inhe Kuch Bhi Saza Do Inki Ye Aadat Nhi Jaati

Khuda Ki Bandagi Mai Ye Bhi Ek Azeem Tohfa Hai
"Shams" Namaaziyon K Kabhi Chehron Se Ronak Nhi Jaati
 

Rate it:
Views: 535
28 Aug, 2015
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets