Add Poetry

Aaj Muslman Ko Daikhein

Poet: Sarim waiz By: Sarim waiz, Jampur

Aaj Muslman Ko Daikhein To Bikhra Patay Hein
Kabhe Aamal Jo Sochein To Khoof Khatay Hein

Kahein Ho Guftgoo To Khamiyan Dhond Latay Hein
Aaj Log Khuda K Deen Mein Nuqs Hazar Batatay Hein

Ik Oorh Ho Dushwari To Aagay Jatay Hein
Phir Khoob He Fatwa He Nea Latay Hein

Khuda K Ghar To Roz Woh Jaya Kartay Hein
Aaj Muslman He Muslman Say Laray Jatay Hein

Mehuv Hein Sabhe Aaj Firqa Parasti Mein
Yeh Log To Masjid Par Azmat Ka Parcham Lehratay Hein

Deen K Nam Par Deendaron Ko Mitay Pata Hon
Koi Tokay To Aabao Ajdad Ki Dastanein Kheench Latay Hein

Kuch Kahay "Waiz" To Jahan Yeh Roth Jata Hei
Besabab He,Yahan Kuch Badnam Hotay Hein
 

Rate it:
Views: 733
25 Oct, 2014
More Religious Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets