Add Poetry

Dil Aur Dimagh K Darmiyan Mukalma

Poet: Tahmi By: Tahmi Usman, Karachi

Dil Tou Kehta Hy
Wo Mujh Ko Jalata Hy
Behad Yaad Ata Hy!
Isi K Wasty Khud Ko
Bht Masroof Rakhta Hoon
Daftar Sey Jab Aata Hoon
Tou Jo Bhi Kaam Hon Ghr K
Unhain Ma Khud Hi Karta Hoon
Doston Aur Rishtedaron Me
Bht Maqbool Hoon Ab Main
K Un K Kaam B Ab Tou
Ma Apny Sir Py Leta Hoon
Us K Bad Bhi Jab Main
Soota Hoon Tou Lgta Hy
Khwab Jageer Hain Uski
Jo Jata Hoon Tahlny Ko
Tou Saary Raasty
Lagta Hy..Uski Janib Hi Jati Hain
Dimagh Meri Batain Smjh Nahi Paata
Kehta Hy Jhoot Kehty Ho,
Agr Itna Hi Yaad Karty Ho,
Aawaz Akhir Ko Q Nahi Dety?
Tarapty Ho,Bikharty Ho..
Bula Phir Q Nahi Lety?
Tumhain Rasty Bulaty Hain?
Tou Pult Kar Q Nahi Jaaty?
Kehta Hy Tum Ny Chora Tha
Tmari Ulfat Me… Kami Hogi
Rasta Tum Ny Badla Tha
Bewafa Tum Ho…
Main Kehta Hoon…
Mery Apny Hi Fatoor Hain Yara
Tum Unsy Guzr Nahi Sakty
Chora Tha Kis Liye Usko
Tum Ye Kabhi Smjh Nahi Sakty
Ulfat Ki Baat Karty Ho
Yehi Tou Kaam Hy Mera
Wafa Ka Naam Lety Ho
Yehi Emaan Hy Mera
Uski Khushi Isi Me Thi
Chora Tha Jisliye Usko
Yehi Dastoor E Ulfat Hy
Wafa Ka Ain Maqsad Hy
Nami Aankon Me Ley Kar Bhi
Hansna Parta Hy Dikhany Ko
Ulfat Ko Khud Me Dafan Kar K Bhi
Kehna Parta Hy Jany Ko
 

Rate it:
Views: 1197
13 Apr, 2018
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets