Add Poetry

Ab Lamha Lamha Waqt

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New delhi

Ab Lamha Lamha Waqt Bashar Ho Jaayega
Jo Noor-E-Nazar Tha Door-E-Nazar Ho Jaayega

Ye Meri Judaai Ke Gham Hain Zara Yaad Rahe
Tumpe Bhi Inhi Ka Ek Roz Asar Ho Jaayega

Khamosh Bohat Rehte Ho Koi Baat Hai Kya
Na Bologe To Phirr Bhi Khabar Ho Jaayega

Rahon Mai Koi Humdard Juda Ho Jaaye To
Chalte Chalte Wo Khaab Magar Ho Jaayega

Dehleez Pe Ab Tak Raqs Mai Hai Qadmon K Nishaan
Wo Phool Jo Aaya Pairon Mai Patthar Ho Jaayega

Iss Baat Se Aksar Roz Zakhm Hota Hai Hara
Koi Khaab Jo Aaya To Khanzar Ho Jaayega

Kuch Waqt To Ghar Se Jaya Karo Masjid Mai "Shams"
Warna Ye Khushaal Shahr Banzar Ho Jaayega
 

Rate it:
Views: 382
16 Jul, 2014
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets