Chal Insha Apne Gaaon Main Yahan Uljhey Uljhey Roop Buhat Per Asli Kamm, Behroop Buhat Is Pairr K Neechey Kya Rukna Jahan Sa`Aey Kamm, Dhoop Buhat Chal Insha Apne Gaaon Main Bethein Ge Sukh Ki Chhaaon Main Kyun Teri Aankh Sawaali Hai? Yahan Har Ek Baat Niraali Hai Is Dais Baseira Mat Karna Yahan Muflis Hona Gaali Hai Chal Insha Apne Gaaon Main Jahan Suchey Rishtey Yaaron K Jahan Vaadey Pakkey Pyaaron K Jahan Sajda Kare Wafa Paaon Main Chal Insha Apne Gaaon Main