Add Poetry

Khird K Pas Khabar K Siwa Kuch Aur Nahin

Poet: Allama Iqbal By: Ahmed Arif, lahore

Khird K Pas Khabar K Siwa Kuch Aur Nahin
Tera Ilaj Nazar K Siwa Kuch Aur Nahin

Har Muqam Se Age Muqam Hai Tera
Hayat Zauq-E-Safar K Siwa Kuch Aur Nahin

Rangon Mein Gardish-E-Khun Hai Agar To Kya Hasil
Hayat Soz-E-Jigar K Siwa Kuch Aur Nahin

Urus-E-Lala Munasib Nahin Hai Mujhse Hijab
K Main Nasim-E-Sahar K Siwa Kuch Aur Nahin

Jise Qasad Samajhte Hain Tajran-E-Firang
Wo Shay Mata-E-Hunar K Siwa Kcuh Aur Nahin

Giranbaha Hai To Hifz-E-Khudi Se Hai Warna
Gauhar Mein Ab-E-Gauhar K Siwa Kuch Aur Nahin
 

Rate it:
Views: 3030
15 Aug, 2012
Related Tags on Allama Iqbal Poetry
Load More Tags
More Allama Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets