Labon Peh Harf Na Koi Sawal Rakhta Tha Kabhi Main Zabt Mein Itna Kamal Rakhta Tha Khabar Kahan Thi Mujhy Hi Woh Bhool Jaey Ga Ik Aik Cheez Jo Meri Sambhaal Rakhta Tha Bicharty Waqt Bazahir To Kuch Na Bola Tha! Magar Nigah Mein So So Sawal Rakhta Tha Woh Muskura Ky Buhat Dair Chup Raha, Jaisy Hansi Ki Ott Mein Koi Malal Rakhta Tha Suna Hy, Log Ussy Ab Buhat Sataty Hain Jiss Aik Shakhs Ka Akhtar Khayal Rakhta Tha.