Yeh Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha Main Jis Mein Reh Rahi Thi Wohi Ghar Mera Na Tha Main Jis Ko Ek Umr Sambhaley Phir Raha Tha Mitti Bata Rahi Hai Woh Paikar Mera Na Tha Mauj-E-Hawa-E-Sheher-E-Muqaddar Jawab Dey Dariya Merey Na Thay K Samandar Mera Na Tha Phir Bhi To Sangsaar Ki Ja Rahi Hoon Main Kehtey Hain Naam Tak Sar-E-Mahazar Mera Na Tha Sub Loge Apney Apney Qabeelon K Saath Thay Ek Main Hi Thi K Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha