Apne Sang Lay Chal Mujhay Baad-E Sabaa So Rahay Hein Jis Shehar Kher-Ul-Waraa Mousmoun Mein Bhi Hay Unn Ki Roshni Keh Rahi Hay Phelti Qous-E Quzzah Husn Unn Ka Hay Bayan Qur'aan Mein Zulf Hay Wallail Tou Rukh Wad-Duhaa Sub Se Pehlay Aap Ko Paida Kiya Yeh Khuda Ke Payaar Ki Thi Inteha Jiss Ko Rakhay Khud Khuda Sanbhaal Ker Naam Woh Pyaraa Muhammad Mustafa Hay Madinay Ka Alug Apna Mizaaj Dekhiyay Chalnay Lagi Thandi Hawaa Gour Mein Aayein Gay Jab Munkar Nakeer Ek Tumharay Naam Ka Hay Aasera Baksh Day Saari Khataaein Ae Khuda Rehmat- Ul-Lil-Aalameen Ka Waasta