Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani
Poet: AamiR By: AamiR BabA, DelhiYe Doulat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawani
 Magar Mujh Ko Lauta Do Bachpan Ka Sawan Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani
 
 Muhalle Ki Sabse Purani Nishani Wo Burhiya Jise Bachhe Kahte The Nani
 Wo Nani Ki Baton Me Parion Ka Dera Wo Chehre Ki Jhurion Me Sadion Ka Phera
 Bhulaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi Wo Chhoti Si Raaten Wo Lambi Kahani
 
 Kabhi Rait Ke Oonche Teelon Pe Jana Gharounde Banana Bana Kar Mitana
 Wo Masoom Chahat Ki Tasveer Apne Wo Khabon Khiyalon Ki Jageer Apne
 Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan Bari Khoobsurat Thi Wo Zindagani
 
 Ye Doulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawani
 Magar Mujh Ko Lauta Do Bachpan Ka Sawan Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani
 
More Sad Poetry








 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 