Meri Zindgi Mai Kbhi Aisa Bhi Muqaam Aya
Poet: AS Asim By: Asim Ali, lahore Meri Zindgi Mai Kbhi Aisa Bhi Muqaam Aya Hai 
 Ghair To Ghair Rha Apna Bhi Na Kaam Aya Hai 
 
 Wo Shakhas Jisy Mery Ik Pal Ki Bhi Khaber Nhi 
 Naam Us Ka Mery Lab Per Har Subhu Har Shaam Aya Hai
 
 Or Mai Kasy Kr Lo'n Yaqeen Us Ki Mohabbat Ka 
 Jis Ka Bicharny K Bad Na Koi Slaam Or Na He Koi Paigham Aya Hai 
 
 Tujhy Kasy Btao K Kitna Tanha Ho Mai Yaha
 Bata Kya Tujhy Bhi Kbhi Mera Khyal Aya Hai???
 
 Jab Wo Tera Hai He Nhi Too Tu Usy Yad Ku Krta Hai ???
 Mery Dil Ki Tarf Sy Akser Mujhy Ye Sawal Aya Hai
 
 Bohat Masroof Rehta Hai Wo Aj Kal 
 Suna Hai Koi Us K Ghar Us Ka He Mehman Aya Hai 
 
 Ye Kahani Shru Usny Ki The Or Khatam Bhi Wohi Kry Ge ''Asim''
 Mery Zehan Mai Ye Jumla Akser Baar Baar Aya Hai
  
More Sad Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 