Haseen Khaab Dikhaaye Bhi Ja

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Haseen Khaab Dikhaaye Bhi Ja Nahi Sakte
Wo Ab Humse Bhulaaye Bhi Ja Nahi Skte

Zakham Nasoor Bohat Hai Ilaaj Kaise Ho
Chalo Chupa Loon Lekin Chupaaye Bhi Ja Nahi Sakte

Aaj Kal Khouf Bohat Hai Judaai Ka Mujhko
Isliye Dost Naye Ab Banaye Bhi Ja Nahi Sakte

Wafa K Shok Mai Wo Bewafaai Hi Dega
Ye Wo Rishte Hain Jo Nibhaaye Bhi Ja Nahi Sakte

Meri Ghazlon Se Bohat Dard Bayan Hota Hai
Aur Kuch Shair Hain Aise Jo Sunaaye Bhi Ja Nahi Sakte

Koi Shayad Hi Teri Judaai Mai Roya Hoga "Shams"
Ab In Aankhon Se Ashq Baahaaye Bhi Ja Nhi Sakte

Rate it:
Views: 589
16 Jul, 2014