Songs (Ganey)

(Mohsin Ali Mohsin, Karachi)

Pyarey Dosto Aur Ganey Sunne K Shoqieno Zara Sa Yaha Per Mulahiza Farmaiye. Gana Sunna Waise Hi Gunnah Aur Haram Ha Is K Ilawa Ganoo Ma Kufariya, Shirkiya Aur Fasqiya Asha'r Bhi Hotey Hain Lehaza Ho Sakey To Is Aadat Ko Nikalney Ki Koshish Karey. Ma Abhi Chand Kufariya Asha'r Jo K Ganoo Ya Degar Shaeri Ma Astamaal Hue Hain Darj Kar Raha Hoon. In Ko Sunne Aur Gungunaney Se Khas Parhez Karien.Ma Ne Niche Darj Shairo Me Kufariya Aur Shirkiya Alfaaz Ko CAPITAL LETTER Likha Ha Ta K Aap Ko Is K Indar Makhfi Kufr Ko Samajney Ma Aasani Ho

1- Seep Ka Moti Ha Tu Ya Asman Ki Dhool Ha
Tu Ha Qudrat Ka Karishma Ya Khuda Ki BHOOL Ha

2- Dil Ma Tuje Bitha Kar Krlo Gi Aankhien Band
POOJA Karon Gi Teri Dil Ma Raho Gi Terey

3- Hi ! Tuje Chahien Gey
Apna KHUDA Banaey Gey

4- Dil Ma Ho Tum Aankho Ma Tum Bolo Tumhein K Se Chahoon?
POOJA Karo Ya SAJDA Karon Jaise Kaho Waise Chahoon

5- Tumharey Siwa Kuch Na Chahat Karein Gey K Jab Tk Jye Gey Muhabbat Krey Ge
SAZA Rab Jo Dey Ga Wo MANZOOR Karien Gey Bas Ab To Tumhari IBADAT Karey Ge.

6- Ya Rab Tu Ne Ye DIL TORA Kis Mosam Ma.
(Is Misrey Ma Bazahir Tu Koi Kufr Nhi Nazar Ata Magar Is Ma ALLAH Per Aitraz Krna Zahir Ho Raha Ha Lehaza Ye Bhi KUFR K Zumrey Ma Se Ha.)

7- Kaise Kaise Ko Dya Ha AISE WAISO Ko Dya Ha
Ab To CHAPPAR PHAR Moula Apni JAIBEY JARH Moula.

8- Be Cheniya Sameet Kr Sarey Jahan Ki
JAB KUCH NA BAN SAKA Tu Mera Dil Bana Dya.

9- Dunya Bananey Waley DUNIYA MA AA K DEEKH
Sadmey Sahey Jo Ma Ne TU BHI UTHA K DEEKH

10- Duniya Bananey Waley TEREY MAN MA KYA SAMAI
Tu Ne KA HE KO DUNYA BANAI

11- A Khuda Haseeno Ki PATLI KAMAR KYO BANAE?

12- IS HOOR KA KYA KAREY KOI JO HAZAROO SAAL PURANI HOO.

13-Haseeno Ko Aatey Hain Kya Kya Bahaney
KHUDA BHI NA JANEY Tu Hum K Se Janey

14- Khuda Bhi Jab Zammen Pr Aasman Se DEKHTA HOGA
Merey Mehboob Ko KIS NE BANAYA SOCHTA HOGA

15- Rab Ne Muj Per SITAM KYA HA
ZAMANEY KA GUM MUJE DYA HA

16- Tuj Di Soorat Pari Se Dil Nhi Tuj Ko Dya
Milta Khuda Tu Poochta Ye ZULM Tu Ne Kyo Kya?

17- O Merey Rabba Rabba Re Ye Kya GAZAB KYA
Jis Ko Banana Tha Lirki Usey Larka Bana Dya

18- Ab Agey Jo Bhi Hoga Anjaam Dekha Jaye Ga
KHUDA TARASH LYA AUR BANDAGI KRLI

19- KSI PATHAR KI MOORAT SE MUHABBAT KA IRADA HA
PARASTISH KI TAMANNA HA IBADAT KA IRADA HA

20- Merey Nigah Ma Kya Aap Ban K Rehtey Hain.
Qasam Khuda Ki, KHUDA BAN K AAP REHTEY HAIN

21- Ab Ye Jaan Le Le Ya Rab, YA EMAAN LE LE YA RAB
Do Jahan Le Le Yarab! Ya Khuda! Fanna Fanna Ye Dil Hua Fanna

22-Jab Se Terey Naina Merey Naino Se Lagey Re
Tab Se Diwana Hua Sab Se Begana Hua
RAB BHI DIWANA LAAGEY RE.

Piyarey Dosto Ye They Chand Asha'r Jo K Kufaryat Se Bharpoor They Is K Ilawa Bhi Na Janney Kitney Aasey Hi Emaan Cheen Leney Waley Asha'r Gaano Aur Urdu Shairey Ma Bharey Parey Ha Ma Shairi Ko Galat Nhi Kehta Bal K Muhammad (S.A.W) Ne Khud Asha'r Kehney Ki Targeeb Di Ha .

Riwayat Ha K Shair Bhi Guftagoo Ki Tarah Hain, Acha Shair Achey Kalam Aur Bura Shair Burey Kalam Ki Traha Ha. Is Ki Ilawa 1 Aur Riwayat Ha K

"Kuch Shair Hikmat Waley Bhi Hain." Aur Nabi (SAW) Ne Hazrat Hassan Bin Sabit (RA) Ko Shair Kehney Ki Targeeb Di. ( Yasalonaka, Jild 2, Safha 69)

Lehaza Asha'r Kehna Koi Buri Baat Nhi Lekin Kufariya, Fasqiya Aur Shirkiya Asha'r Dushman-E-Emaan Ha Aur Emaan Ha Tu Sub Kuch Ha Warna Kuch Nhi.

ALLAH HAMAREY EMAAN KI HIFAZAT FARMAE. Ameen
 

ڈاکٹر محمد محسن
About the Author: ڈاکٹر محمد محسن Read More Articles by ڈاکٹر محمد محسن: 15 Articles with 35910 views مسیحائی آسان کام نہیں، بس خدا سے دعا ہے کہ اس بوجھ کو احسن انداز میں اٹھاسکوں.. View More