Tawheed Aur Shirk : Part-1

(Waseem Khan, Hyderabad)

Tawheed aur Shirk (part1)

Assalamu alaikum dostho,

@Tawheed Aur Shirk : Part-1
» Mahfum-e–Hadees: Ek Roz Ummul Momin Hazrate Ayesha (Siddiqa RaziAllahu Anha) Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Shakhs Ke Talluk Se Sawaal Kiya –
Ya RasoolAllah! Abdullah Bin Judan Kaha Jayega? Abdullah Bin Judan Ka Kya Hoga ?
RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke – ‘Aye Aayseha!!! Abdullah Bin Judan Jahannum Me Jayega’.
Isliye Ke Usney Kabhi Apne Rab Se Yeh Nahi Kaha – Ke Aye Rab! Mere Gunaaho Ko Muaf Kar (Yaani Kabhi Emaan Nahi Laaya Aur Emaan La Kar Kabhi Apney Rab Se Taubah Nahi Ki Iss Buniyad Par Abdullah Bin Judan Jahannum Me Jayega).
– (Sahih Muslim)

» Wajahat : Ab Yeh Abdullah Bin Judan Hai Koun Jiske Taaluk Se Ummul Momin (Yaani Ummat-e-Muslima Ki Maa) Sawaal Kar Rahi Hai ? Aayiye Abdullah Bin Judan Ki Shakhsiyat Ke Baarey Me Jara Gour Karte Hai!
Abdullah Bin Judan Wo Shakhs Tha Jo Bohot Sakhi(Daryadil) Insan Tha,
Yeh Makke Me Aaney Wale Har Shakhs Ko Paani Pilata ! Har Aane Waaley Haajiyo Ko Tohfe Me Bakriya Deta ! Aur Yeh Roz Gareebo Aur Miskeeno Ko Khana Khilata ! Nango Ko Kapde Pehnata!
Aur Iske Khane Khilane Ke Talluk Se Yeh Baat Mash’hoor Thi Ke – Muslim Ki Ek Riwayat Me RasoolAllah Ke Talluk Se Ek Hadees Me Aata Hai Ke – ‘Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Garmi Ke Tapish Se Bachney Ke Liye Zohar Ki Namaz Ke Baad Uss Deg Ke Saye Me Let’tey Aur Baith’tey Jis Deg Me Yeh Logon Ko Khana Banakar Roz Khilata’.

*Isi Tarha Shaam (Syria Country) Me Ek Baar Sukha Pada Tou Abdullah Bin Judan Ne 1000 Uoonth(Camel) Maal Se Ladey Shaam (Syria) Bheje! Taaki Unn Logon Ki Madad Ho.
Yeh Wo Shakhs Tha Jiski Sakhawat Ka Yeh Haal Hai. Yeh Shakhs Neki Ki Raah Me Dil Khol Kar Maal Kharch Karta Iskey Taaluk Se Sawaal Ho Raha Hai – Ke Yeh Shakhs Marne Ke Baad Kaha Jayega (Jannat Ya Jahannum)?
Tou Aap(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Faramaya Ke – ‘Isne Emaan Nahi Laya Aur Apne Rab Se Yeh Nahi Kaha Ke, Aye Mere Rab! Mujhey Muaf Kar!’…

» Sabaq : Yahi Hai Tawheed Ki Ahmiyat Jo Jannat Aur Jahannum Ka Fark Karti Hai! Ke Jo Log Beshumar Nek Amal Karte Hai Wo Mehaz Aakhirat Me Iss Buniyad Par Jahanam Me Fenk Diye Jayenge Jisne Apne Rab Ke Sath Dusrey Maboodo Ko Shareek Thehraya ,.. ! Liahaza Aise Mushriko Ka Nek Amaal Unhe Aakhirat Me Koi Fayda Nahi Dilayega. Aur Uss Din Aise Logon Ka Koi Bhi Nek Amaal Inhey Fayda Nahi Pohchayega! Unka Koi Madadgaar Na Hoga..

Allah Ta’ala Ka Farmane Haq Hai –
#Al-Quraan : Beshaq Allah Ta’ala Shirk Ko Muaf Nahi Karega
Aur Uss Ke Alaawah Jis Gunaah Ko Jis Ke Liye Chahega Muaaf Kar Dega.
– (Surah: Nisa Ayat 48)

*Allah Ta’ala! Shirk Jaise Kabira Gunaaho Se Hum Sabke Amaal Ki Hifazat Ata Farmaye..
*Tamaam Ummat-e-Muslima Ko Haq Halaal Parast Banaye
*Aur Haraam Se Parhez Karne Ki Toufiq Ata Farmaye!! Ameen Allahumma Ameen !!!!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

#In’Sha’Allah ! Agle Post Tawheed Aur Shirk (Part 2) Me ‘La Ilaha Illallah’ Ke Taqaze Ka Zikr Karenge.

Waseem Khan
About the Author: Waseem Khan Read More Articles by Waseem Khan: 7 Articles with 18546 views Myself Mohammad Waseem Khan
B.tech Mechanical Engineering Student
Interesting in READIND ISLAMIC BOOK
.. View More