Home | News | Finance | Dictionaries | Mobiles | Cricket | Games | Classifieds | Forum | Career Counseling | Recipes | Articles | Poetries | Islam 
 

Webmaster Tools

• Domain Registration
• Web Hosting
• Web Designing

• Jobs / Biz Partners
• Feedback
• About Hamariweb
• Contact Us
• Advertising
 
 
 
 
 
 
Add to Favorite
Click here to get Consultancy.  اپنے سوالات درج کروانے کے لیے یہاں کلک کریں
 Career Consulting Answers Career Counseling Home Page
 
 
Question (Total Replies: 1)Thursday, May 15 2008

Shahid (Professional)
Bachelors Degree
B.Sc
karachi


Main ne BSC pre engineering se kia hai 1994 main, us ke baad kuch problems ki waja se job main late hogaaya aur takreeban 2002 se apna career start kia ab meri samajh nahi aata ke kia job mere liye better hai, us ke ilawa mai ne computer hardware se bhi diploma kia hai age id card ke hawaly se 35 hogayee hai aur abhi tak salary seven thousand tak puhcha hai, but choti moti jobs hain yeh kabhi kabhi koi c kabhi koi c age ki waja se alag disappoint hon. Bohot confuse rehta hon please help me and give me consultancy ke main apna liye kia future choose karon. Main computer ki networking ya software field main jaana chahta hon but us ke courses is kadar costly hain ke poch poch ke reh jaata hon. un married hon aur ghar ki zimmaydari bhi hai mere ander kafi potential hai but main apnay saath walon se buhut peeche reh chuka hon. Aik plus point hai ke main itna bara lagta nahi hon otherwise kher mujhe advice karien ke kiakaron main totally confuse. main aik particuler field main jana chahta hon shayad aap ki raye se mujhe koi roshni mil jaye main himmat nahi haarna chata kionke baar baar disappoint ho kar apni himmat jama karta hon phir se koshish karta hon but raasta na hone ke sabab bhatak raha hon sab se zyada mujhe id card pareshan karta hai jis pe age hai main apni age kisi ko nahi batata kion ke age ke maamle main main buhut sensitive hogaya hon. Umeed hai tawajja se parh kar jawab deingay help me.

 
   
 Share Your Comments 
 اپنا تبصرہ شامل کریں 
 Apna Tabsarah Shamil Karen 
   

noman (General User), londonSaturday, May 17 2008
Total Posts: 88
 Rate this Answer

Asalamualikum
Shahid bhai zindagi mein oonch neech to aati he rehti hai agar aap ne himmat naheen haree to yeh he sub se achi baat hai. Bohat saray graduates 7000 rupees salary se he apna carrer start kartay hein. aap jahan bhi kaam karien lag kar karien aur apnay app ko manwain baki is k illawa mein yeh keh sakta hun k skill development council karachi sdckarachi.org.pk/
yai thoray reasonable fee mein bohat saray courses karwati hai. baki yai k INSHALLAH ALLAH AAP KI MASAIL KO HAL KAREY AMMEN.

Click here to Ask More or Share Comments on noman's post.

 

 

Home | About HamariWeb | Contact Us | Advertising | Privacy Policy | Urdu Search | Urdu to English | English to Urdu | Islamic Names


Important Phone Numbers | City Dialing Codes | International Dialing Codes | Games | Site Map

 
 WebizMedia.com

Copyright © 2024 HamariWeb.com All Rights Reserved.