آنکھ اور سمندر کا کیا حسین رشتہ ہے

Poet: Amir Muaan By: Amir Muaan, islamabad

Aankh Aur Samunder Ka Kia Haseen Tauluq Hai
Sung Ka Mairay Sir Ka Kia Haseen Tauluq Hai

Lout Lout Jata Hai Kiun Teri Taraf Janan
Dil Ka Aur Teray Dar Ka Kia Haseen Tauluq Hai

Aaj Pehla Sung Mujh Ko Doston Ne Mara Hai
Be-Wafai Se Zar Ka Kia Haseen Tauluq Hai

Aasman Se Agay Sair Kernay Jata Hon
Khuwaab Aur Tahayur Ka Kia Haseen Tauluq Hai

Phool Hai Na Khushboo Hai Aab Hai Na Saya Hai
Dasht Aur Mairay Ghur Ka Kia Haseen Tauluq Hai

Amir Muaan ( Hissar-E-Mohabbat)

 

Rate it:
Views: 468
24 Jun, 2009