Waqt Bura Ho Ya Acha
Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed (Shakir), Mumbai-IndiaPal Mein Tola, Pal Mein Masha Hua
 Uff, Na Jane Is Dil Ke Saath Kya Kya Hua
 
 Qadam Dag-magane Lage Jab Zindagi Ki Dhoop Mein
 Apne Hi Nazro Ke Saamne Kya Kya Namudar Hua
 
 Bazar-e-Waqt Se Kuch Pal Hansi Ke Kharid Lu
 Qeemat Mili Bhi Aisi Ke Khud Se Sharam-sar Hua
 
 Barso’n Baad Bhi Aisa Laga Ke Hum Wahi Khade Hain
 Badalte Waqt Ke Saath Hamse Kitna Intezar Hua
 
 Saath Chodh Ke Chaldena Unki Fitrat Na Thi
 Na Jaane Mujh Pe Ye Zulm Kyun Baar Baar Hua
 
 Lakeero’n Se Banta Hai Ghar, Lakeero’ Se Bat-ta Hai Ghar
 Bikhre Huey Guncho’n Ko Sametna Bhi Ab Dushwar Hua
 
 Waqt Bura Ho Ya Acha, Ek Din Badalta Zarur Hai
 Ab Dushmano se Zyada Dosto’n Ka Hum Pe Waar Hua
 
 Drya-e-Shakir Bhi Kuch Kaam Na Aaya Ehl-e-Chaman Ke Liye
 Unka Qatra Bahana Bhi Shahido’n Mein Shumar Hua
  
کس بات کی آخر جلدی ہے کس بات کا پھر یہ رونا ہے
دنیا کے مصائب جھیلنے کو مالک نے بنایا ہے جیون
آرام بھلا پھر کاہے کا پھر کاہے یہ سونا ہے
بے مقصد جینا کہتے ہیں حیوان کے جیسا جینے کو
انساں کے لیے تو یہ جیون یارو پر خار بچھونا ہے
دشوار سہی رستہ لیکن چلنا ہے ہمیں منزل کی طرف
منزل کی طلب میں عاکفؔ جی کچھ پانا ہے کچھ کھونا ہے







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 