Add Poetry

Tum Boht Saal Reh Liye Apne

Poet: Wasi Shah By: Minhal, karachi

Apni Khatir Jage Ho Soey Ho
Apni Khatir Hanse Ho Roey Ho
Kis Liye Aaj Khoe Khoe Ho

Tum Ne Ansoo Boht Piye Apne
Tum Boht Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoker Raho

Husn Hi Husn Ho Zahanet Ho
Ishq Hoon Main Tum Muhabbat Ho
Tum Meri Bus Meri Amanat Ho

Jee Liye Jis Qadr Jiyai Apne
Tum Boht Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoker Raho

Rehte Ho Ranj Gham Ke Ghairon Main
Dukh Ke Asaib Ke Basairon Main
Kaise Chorhoon Tumhain Andhairon Main

Tum Ko Daidoonga Sab Diyye Apne
Tum Boht Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho

Tum Azal Se Dukhon K Dairey Ho
Chahe Khud Ko Ghamon Sai Ghairey Ho
Jab Se Paida Hue Ho Mere Ho

Aaj Kholainge Lab Siyye Apne
Tum Boht Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoker Raho

Ab Mujhay Apne Dard Sehne Do
Dil Ki Har Baat Dil Se Kehne Do
Meri Baanhon Me Khud Ko Behne Do

Muddaton Zakhm Khud Siye Apne
Tum Boht Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoker Raho

Rate it:
Views: 2960
30 Aug, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets