Tashnagi
Poet: Ibn.e.Raza By: Ibn.e.Raza, IslamabadHad Say Guzarti Hai Jab Kabhi Tashnagi Soch Mein
 Chala Ata Hon Roay Darya Soch Hi Soch Mein
 
 Sar-E-Sahil Apnay Hi Kadmon K Takub Mein
 Nigah Door Nikal Jati Hai Kisi Gehri Soch Mein
 
 Dhalay Dhalay Se Nakoosh-E-Kaf-E-Pa Reg-E-Darya Par
 Daal Detay Hain Ik Ajnabi C Soch Mein
 
 Shayed Koi Kareeb Se Guzra Hai Phir Abhi
 Mauj-E-Darya Hai Kuch Nishan Mitanay Ki Soch Mein
 
 Pehlo Nasheen Ki Arzoo Kabhi Tak-E-Safar Ka Aarza
 Hoti Hai Sarf Youn Musafir Ki Zindagi Soch Mein
 
 Chehray K Tabassum Ko Shadmani Na Samjhiay
 Tanha Pan Ka Sarab Hai Is Chehkati Soch Mein
 
 Tang Nazari Ki Bhi Had Hoti Hai Raza Ji
 Kyun Is Kadar Rookha Pan Hai Aapki Soch Mein
More Love / Romantic Poetry






