Rain Status
Rain Status is best way to express your words and emotion. Check out the amazing collection of express your feeling in words. This section is based on a huge data of all the latest Rain Status that can be dedicated to your family, friends and love ones. Convey the inner feelings of heart with this world’s largest Rain Status compilation that offers an individual to show the sentiments through words.
بارش بھی بہت ضروری ہے عنبر
Ik Tum Hi Nahi Musam Ki Adaa'en Waisi
Phir Teri Talib Honay Lagi Hy
Dill-Ay-Nadaa'n Ki Phir Say Khataa'en Waisi
Muhabat Mein Azaab Hy Khouf-Ay-Judaai
Hazaaro'n Hain Ik Balaa Mein Balaa'en Waisi
Chaa Jateen Hain Aksir Meri Socho'n Par
Teri Zulfen Sawan Ki Ghataa'en Waisi
Bond Bond Baras Kar Bhi Kam Nahi Hoti
Muhabato'n Ki Rehti Hain Ghataa'en Waisi
Aaj Bhi Zidi Hy Woh Meri Tarha
Meri Wafaa'en Uss Ki Jafaa'en Waisi
Roshni Ki Talab Mein Phir Say
Aao Umeedo'n Ki Sham'en Jalaa'en Waisi
Main Kab Talak Khud Ko Behlaao'n Amber
Teri Yaado'n Ki Phir Sazaa'en Waisi
ki Koshishon Me Tha
Teri Sochon k Mehvar Se Nikalne ki
Sazishon Me Tha
Mujhe Is Kaam Me Kamyabi Bas
Milne Hi Wali Thi
Meri Ye Zindagi Pehle k Jaisi Ban-ne
Hi Wali Thi
Magar Ye Kya?
Magar Ye Kya, Aasmaan Pe Baadal Se
Chhaaye Hain
Meri Sab Koshishon Pe Lagta Hai
Khul k Muskuraaye Hain
Haan Ye Sach Hai, Bhulane Me
Tujhe koi Kami Na ki
Magar Me Bhool Betha Tha Yehi
Marzi Hai Qismat ki
Ab Ye ‘Baarish’ Jo Aayi Hai, Teri
Khushboo Bhi Laayi Hai
Mere Dil Pe, Zehen Pe, Phr Se Teri
Yaad Chhaayi Hai
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha
Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr
Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha
Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Tha
Thanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne saath Diya
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha
Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi
Main Samjha Mujhe Tum Chhor Gaye, Andaz Tumhare Jesa Tha
Apne Naqsh Sabi Mita Jao Iss Baarish Say Pehly
Wo Jo Diary Mein Kuch Phool Parry Hain Ab Bhi
Un Ki Khushboo Urra Jao Iss Baarish Say Pehly
Rafta Rafta Hawae'n Rukh Badil Rahi Hain Apna
Tum Bhi Sambhal Jao Iss Baarish Say Pehly
Phir Jo Barsay To Tout K Barsay Baadal
Tum Hakeekat-E-Dill Dikha Jao Iss Baarish Say Pehly
Lagta Hai K Baadal Khoub Barsay ga Amber
Tum Ghar Ko Lout Jao Iss Baarish Say Pehly
Rain poetry captures the beauty of raindrops and heartfelt emotions. It reflects love, nostalgia, and the calmness of nature. Reading rain poetry brings peace, freshness, and poetic inspiration.
- Kirat , Peshawar
- Thu 11 Sep, 2025
Rain poetry is refreshing and full of beautiful imagery. It captures the calm, joy, and romance of rainy days. A perfect way to enjoy nature’s beauty through heartfelt words.
- Majid , Ali pur
- Tue 09 Sep, 2025
I’m deeply drawn to rain poetry; it fills the silence of my solitude.
- shahid , lahore
- Mon 01 Sep, 2025