Add Poetry

Na Jaane Kahan

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Na Jaane Kahan Kahan Dhoond Raha H Araam Aadmi
Aur De Raha Hai Tanz K Bhi Daam Aadmi

Dar Dar Ki Khaak Chaan K Jab Kuch Nahi Milta
Thak Haar K Ghar Hi Ko Chala Aata Hai Har Shaam Aadmi

Rozi Ki Talab Bhookh Ki Hasrat Mai Tamaam Umar
Ho Jaata Hai Khud Hi Ka Gulaam Aadmi

Bebas Ki Bebasi Hai K Wo Bolata Nahi
Dena To Chahata Kuch Peghaam Aadmi

Haaye Ye Kon Rakh Gaya Hai Ghar Mai Andhera
Shayad Isi Waham Mai Hai Gumnaam Aadmi

Shayad Hawa Usey Lag Gayi Hai Apne Guroor Ki
Karta Nahi Kisi Ka Bhi Ahatraam Aadmi

Majboor Ko Dekhta Hoon To Andaaza Hota Hai
Kyun Bik Raha Hai Roz Youn Bedaam Aadmi


Apna Zameer Baich Doon Phir Sochta Hoon Main
Ho Jaayegi Ye Zindagi Haraam Aadmi

"Shams" Be-Loos Mohabbat Ke Thikaane Talaash Kar
Hona Hai Ek Na Ek Dil Khaak-E-Anjaam Aadmi

Rate it:
Views: 350
16 Jul, 2014
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets