Mudat K Bad Hath Ki
Poet: Syed Ishtiaq Hussain Kazmi By: Waqas Shah, rawalpindiMudat K Bad Hath Ki Lakeer Daikh Kar
 Dil Jal Utha Ha Khawab Ki Tabeer Daikh Kar
 
 Hum Na Dil Main Is Liay Pathar Basa Liay
 Taj Mahal Ki Dilkash Tameer Daikh Kar
 
 Mari Hi Muntzir Hain Ya B Gardshain
 Ya Asman Sa Utarti Hain Takdeer Daikh Kar
 
 Mudat Bad Dil Pa Rakha Ha Hum Na Hath 
 Kagaz Pa Taray Hath Ki Tahreer Daikh Kar
 
 Ahl Karam Na Apnay Khizanay Lota Diay
 Waqt Ka Mara Dil Ka Ameer Daikh Kar
 
 Kismat K Maray Janay Kiun Chal Diay Udhar
 Manzil B Dour Ho Gai Rahgeer Daikh Kar
 
 Logon Na Apnay Poun Main Zanjeer Dal Li
 Tari Zulf Ka Hua Aseer Daikh Kar
 
 Dil Ab B Chahta Ha Tumhi Par Nisar Ho
 Takhiyal Sa Kahin Haseen Tari Tasveer Daikh Kar
 
 Gee Chahta Ha Ghar Sa Kahin Dour Nikal Parin
 Ishtiaq Itnay Saray Masail Ghambeer Daikh Kar
More Love / Romantic Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 