Milan Ki Aarzo Karna

Poet: J By: Junaid Taj, KARACHI

Milan Ki Aarzo Karna
Safar Ki Justajo Karna

Jo Tum Maayus Hojao
Tu Mujhse Guftagu Karna

Ye Aksar Ho Bhi Jata Hai
K Koi Kho Bhi Jata Hai

Muqaddar Ko Thakao Gay
Tu Phir Ye So Bhi Jata Hai

Magar Tum Hosla Rakhna
Wafa Ka Silsila Rakhna

Jo Tum Se Piyar Kar Baithay
Tu Us Say Rabta Rakhna

Rate it:
Views: 1066
23 Jul, 2008
More Love / Romantic Poetry