Add Poetry

Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta

Poet: Wasi Shah By: ali, khi

Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta
Munderon Se Chiraghon Ko Bojha Kar Kuch Nahi Milta

Hamari Soch Ki Parwaz Ko Roke Nahi Koi
Nae Aflaq Pe Pehrey Bitha Kar Kuch Nahi Milata

Koi Ek Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta Hai
Hazaro Khawab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta

Sakon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardes Ja Kar Bhi
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta

Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ki Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Ye Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootane Paien
Kabhi Bhi Doston Ko Azamaa Kar Kuch Nahi Milta

Na Jane Koun Se Jazabe Ki Yon Taskeen Karta Hon
Bazahir To Tumhare Khat Jala Kar Kuch Nahi Milta

Faqat Tum Se Hi Karta Hon Main Sari Raaz Ki Batain
Har Ek Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta

Amal Ki Sokhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shamil Kar
Mare Hamdam Faqat Baten Bana Kar Kuch Nahi Milta

Use Main Pyar Karta Hon To Mujh Ko Chain Ata Hai
Wo Kehata Hai Use Mujh Ko Sata Kar Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yahi Awaaz Aati Hai
Kisi Ke Hijr Mein Nendein Ganwaa Kar Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jaye Ga Chalni Ye Ankhein Khoon Roen Gi
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta

Rate it:
Views: 2803
24 Oct, 2016
Related Tags on Wasi Shah Poetry
Load More Tags
More Wasi Shah Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets