Hosh-O-Hawaash

Poet: Sahir Nawaz By: Sahir Nawaz, mirpur sakro sindh thatta

Hosh-O-Hawaash Main Reh Kar Bhi Be Hosh Hoon
Kiya Aap Pochhte Ho Kyun Main Khamosh Hoon

Kisi Gunaah Ka Taswar Nahi Hai Mere Shaur Main
Phir Bhi Be Gunaahi Main Roo Posh Hun

Shayad Kisi Ko Aana Hai Jo Intzar Rehta Hai
Us K Aane K Liye Main ParJosh Hun

Saans Laine Ki Mohlat Nahi Milti Ghamoon Main
Zakham Andar K Hein Main Santosh Hoon

Gunaahgar Kahe Zamaana Uski Fikar Nahi Mujhe
Main Tu Apne Likhe Par Sahir Nardosh Hun

Rate it:
Views: 931
14 Jul, 2014