Add Poetry

Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah E Nau

Poet: Allama Iqbal By: Shadab Khan, Lahore

Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah E Nau
Kamal Kis Ko Mayassar Hua Hai Be Tag O Dau

Nafas Ke Zor Se Wo Ghuncha Wa Hua Bhi To Kya
Jise Nasib Nahin Aaftab Ka Partaw

Nigah Pak Hai Teri To Pak Hai Dil Bhi
Ki Dil Ko Haq Ne Kiya Hai Nigah Ka Pairaw

Panap Saka Na Khayaban Mein Lala E Dil-Soz
Ki Sazgar Nahin Ye Jahan E Gandum O Jau

Rahe Na Aibak O Ghauri Ke Marke Baqi
Hamesha Taza O Shirin Hai Naghma E Khusrau

Rate it:
Views: 872
18 Jul, 2022
Related Tags on Allama Iqbal Poetry
Load More Tags
More Allama Iqbal Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets