Add Poetry

Hai Dua Yaad

Poet: Sagar Sadiqi By: Azam, Gujranwala

Hai Dua Yaad Magar Harf-E-Dua Yaad Nhi
Mere Naghmat Ko Andaz-E-Nava Yaad Nhi

Hum Ne Jin Ke Liye Rahon Mein Bichya Tha Laho
Hum Say Kehte Hai Wohi Ehd-E-Wafa Yaad Nhi

Zindgi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah Katiy Hai
Jane Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yaad Nhi

Main Ne Palko Say Dar-E-Yaar Pa Dastak Di
Main Woh Saail Ho Jise Koi Sada Yaad Nhi

Kase Bhar Aai Sar-E-Sham Kisi Ki Aankhen
Kase Thiraai Chiraago Ki Ziya Yaad Nhi

Sirf Dhundlaye Sitaron Ki Chamak Dekhi Hai
Kub Hua? Kon Hua Mujh Say Khafa Yaad Nhi

Aao Ik Sajda Kare Aalim-E-Madhoshi Mein
Loog Kehte Hain Ke SAGAR Ko KHUDA Yaad Nhi

Rate it:
Views: 641
13 Aug, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets