Bus Aik Maafi Hamari Toba
Poet: Muskan Qayum By: Zaka Ullah Gondal, Midh Ranjha [ SARGODHA ]Bus Aik Maafi Hamari Toba
 Kbhi Jo Hum Ab Sataayen Tum Ko
 Lo Haath Jorrey
 Lo Kaan Pakrey
 Ab Aur Kaisey Manaayen Tum Ko
 Tumharey Aatey He Is Nager Se
 Hamen Rakaabat C Ho Gai Hai
 Main Ye Sharaakat Bhi Kaisey Seh Loon
 K Choo Rahi Hain Hawaaen Tum Ko
 Tum Aaina Ho
 Aur Sang-Baari Yahan K Logo Ka Mashghla Hai
 Hr Aik Pather Se Dhaal Bann Kr
 Bhala Kahan Tak Bachaaen Tum Ko
 To Kya Tum Ab Tak Hamari Nazron K
 Sub Takaazon Se Be-Khaber Ho
 Hamen Mohabbat Hai Tum Se
 Ab Aur Kaisey Bataaen Tum Ko
 Bataaen Tum Ko Bichrtey Lamhey
 Labon Ki Larzish Ka Kya Sabubb Tha
 Suna Tha Waqt-E-Kabuliyat Hai
 So De Rahey They Duaaen Tum Ko
 Bus Aik Maafi Hamari Toba
 Kbhi Jo Hum Ab Sataaen Tum Ko
 Lo Haath Jorey
 Lo Kaan Pakrey
 Ab Tum He Bataao
 Kaisey Manaaen Tum Ko
  
More Love / Romantic Poetry






