Bhali Si Shakal
Poet: Unknown By: Ishtiaq Ahmad, Malir-KarachiBhalay Dino Ki Baat Hay Bhali Si Ek Shakal Thi
 Na Ye K Husan Tamam Ho Na Dekhne May Aam Si
 
 Na Ye K Wo Chalay Tu Kehkashan Si Rahguzar Lagay
 Magar Wo Saath Ho Tau Phir Bhala Bhala Safar Lagay
 
 Na Aisi Khush Libasian K Aaeena Gila Kare
 Na Itni Betakallufi K Aaeena Haya Kare
 
 Na Aashiqi Junoon Ki K Zindagi Azaab Ho
 Na Is Qadar Kathorpan K Zindagi Kharab Ho
 
 So Eik Roz Kia Hua Wafa Pay Bahees Chir Gayee
 May Ishq Ko Amar Kahoon Wo Meri Zid Se Chir Gayee
 
 May Ishq Ka Aseer Tha Wo Ishq Ko Qafas Kahe
 K Umr Bhar K Saath Ko Wo Badtar Az Hawas Kahe
 
 Na Usko Mujhper Maan Tha Na Mujhko Usper Zom He
 Jo Ehed Bhi Koi Na Ho Tu Kia Gham-E-Shikastagi
 
 So Apna Apna Raasta Hansi Khushi Badal Dya
 Wo Apni Raah Chal Pari May Apni Raah Chal Dya
 
 Bhalay Dino Ki Baat Hay Bhali Si Eik Shakal Thi
 Ab Uski Yaad Raat Din Nahe Magar Kabhi Kabhi







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 