Aik Pahar Aur Ghulehri (Makhoz Az Aymrsn ) - Bachon Ke Liye
Poet: Allama Iqbal By: Arfa Siddique, KarachiKoi Pahar Yeh Kehta Tha Ik Ghulehri Se
 Tujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Marey
 Zara Si Cheez Hai, Is Par Ghuroor, Kya Kehna
 Yeh Aqal Aur Yeh Samajh, Yeh Shaoor, Kya Kehna !
 Khuda Ki Shaan Hai Nacheez Cheez Ban Bathain
 Jo Be Shaoor Hon Yun Ba-Tameez Ban Bathain
 Tri Bisaat Hai Kya Meri Shaan Ke Agay
 Zamee Hai Pust Meri Aan Baan Ke Agay
 Jo Baat Mujh Mein Hai, Tujh Ko Woh Hai Naseeb Kahan
 Bhala Pahar Kahan Janwar Ghareeb Kahan !
 Kaha Yeh Sun Ke Ghulehri Ne, Mun Sambhaal Zara
 Yeh Kachi Baatein Hain Dil Se Unhein Nikaal Zara
 Jo Mein Barri Nahi Teri Terhan To Kya Parwa
 Nahi Hai To Bhi To Aakhir Meri Terhan Chhota
 Har Aik Cheez Se Peda Khuda Ki Qudrat Hai
 Koi Bara, Koi Chhota, Yeh Is Ki Hikmat Hai
 Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Is Ne
 Mujhe Darakht Pay Charhna Sikha Diya Is Ne
 Qadam Uthany Ki Taaqat Nahi Zara Tujh Mein
 Nari Barayi Hai, Khoobi Hai Aur Kya Tujh Mein
 Jo To Bara Hai To Mujh Sa Hunar Dikha Mujh Ko
 Yeh Chalia Hi Zara Toar Kar Dikha Mujh Ko
 Nahi Hai Cheez Nikammi Koi Zamane Mein
 Koi Bura Nahi Qudrat Ke Karkhanay Meina
  








