جنگل دکھائی دے گا اگر یہ یہاں نہ ہوں
Poet: انجم رہبر By: Hassan, Lahore
جنگل دکھائی دے گا اگر یہ یہاں نہ ہوں
سچ پوچھئے تو شہر کی ہلچل ہیں لڑکیاں
ان سے کہو کہ گنگا کے جیسی پوتر ہیں
جن کے لیے شراب کی بوتل ہیں لڑکیاں
انجمؔ تم اپنے شہر کے لڑکوں سے یہ کہو
پیروں کی بیڑیاں نہیں پائل ہیں لڑکیاں
More Anjum Rehbar Poetry
Milna Tha Ittefaq Bicharna Naseeb Tha Milna Tha Ittefaq Bicharna Naseeb Tha
wo utni dur ho gaya jitna qareeb tha
main us ko dekhne ko tarasti hi rah gai
jis shakhs ki hatheli pe mera naseeb tha
basti ke sare log hi aatish-parast the
ghar jal raha tha aur samundar qareeb tha
mariyam kahan talash kare apne KHun ko
har shakhs ke gale mein nishan-e-salib tha
dafna diya gaya mujhe chandi ki qabr mein
main jis ko chahti thi wo larka ghareeb tha

daniyal
Kuch Din Se Zindagi Mujhe Pehchanti Nahi Kuch Din Se Zindagi Mujhe Pehchanti Nahi
yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahi
wo be wafa jo rah mein takra gaya kahin
keh dungi main bhi saf ke pehchanti nahi
samjhaya bar-ha ki bacho pyar-wyar se
lekin koi saheli kaha manti nahin
main ne tujhe muaf kiya ja kahin bhi ja
main buz-dilon pe apni kaman tanti nahi
'anjum' pe hans raha hai to hansta rahe jahan
main be-waqufiyon ka bura manti nahi

Ghani