Ishq

(Sehrish Yazdan Malik, United Kingdom)

Ishq Bohat Hee Khobsorat Rishta Hota Hai Agr Woh Sacha Aur Saaf Ho Tou. Insaan Apni Zindagi Mein Bohat Say Logo Say Pyar Karta Hai. For Example..Maan Baap Behn Bhai Etc. Magr Ishq Insaan Sirf Eak Hee Insaan Say Karta Hai Woh Insaan Jis Ki Ehmiyat Hamari Life Mein Sab Ziyda Ho. Insaan Kay Dil Mein Jab Kisi Kaliye Koi Naram Gosha Qaim Hota Hai Tou Uski Pheli Seeri Pyar Aur Isski Akhri Seeri Ishq Hai Jiskay Baad Insaan Moqammal Tor Par Eak Aisay Sanchay Mein Dalta Hai Jahan Say Nikalna Mushkil Ho Jata Hai. Log Sirf Waqt Guzari Jisam Ko Chonay Ko Pyar Aur Ishq Ka Naam Detay Hain. Jo Sarasar Ghalat Hai Kyunkay Ye Eak Bohat Hee Pakeeza Rishta Hota Hai Jo Dil Dimag Aur Roh Say Nibhaya Jata Hai. Ishq Jab Roh Mein Bas Jaye Tou Samj Jao Kay Yahi Sachi Mohabbat Hai. Ishq Itna Asaan Nhi Hota Insaan Ki Roh Tak Chalni Ho Jati Hai Be Intaha Dard Hota Hai Iss Mein. Lakin Phir Bhi Inteha Ka Maza Hai Iss Mein Eak Methi Takleef Hai Jo Insaan Ko Us Insaan Say Milti Hai Jisay Woh Behad Ishq Karta Hai. Ishq Jab Ho Jaye Na Tou Kuch Bhi Phir Acha Nhi Lagta Insaan Sirf Usse Ko Sochta Hai Jissay Woh Bayhad Ishq Karta Hota Hai. Isskay Dil O Dimag Mein Bas Eak Hee Insaan Hota Hai Jo Eak Mintue Kaliye Bhi Insaan Say Juda Nhi Ho Pata. Kyunkay Woh Tou Apki Roh Mein Bas Choka Hota Hai Aur Agr Roh Jism Say Nikal Jaye Tou Insaan Mar Jata Hai.

Ishq Insaan Ko Khuda Kay Mazeed Qareeb Lay Jata Hai Aur Majazi Ishq Say Hee Haqiqi Ishq Ka Taluq Astuwar Hota Hai. Ishq Mein Insaan Ko Bohat Takleef Hoti Hai Magr Phir Bhi Bohat Lazat Milti Hai. Woh Insaan Zindagi Mein Rahay Ya Na Rahay Ishq Kabhi Khatam Nhi Hota. Kyunkay Uss Insaan Ka Khyal Aur Ussay Pyar Karna Hee Hamari Zindagi Hoti Hai. Uss Insaan Say Dor Honay Ka Matlab Hai Ap Khud Say Dor Ho Gay Ho. Ishq Mein Insaan Khud Say Ghafil Ho Jata Hai Issay Koi Farq Nhi Parta Kay Log Isskay Saath Kiya Kar Rahay Hain. Iss Kaliye Kiya Bol Rahay Hain Phir Iss Insaan Ko Inn Sab Cheezoun Say Koi Farq Nhi Parta Kyunkay Woh Ishq Ki Uss Bulandi Par Hota Hai Jahan Issay Kisi Dosray Ki Baatoun Ya Inkay Rawayoun Ka Koi Asar Nhi Parta. Woh Insaan Apni Dhun Mein Rehta Hai Issay Aur Takleefoun Ka Ehsaas Hee Nhi Hota. Seenay Mein Hazaroun Dard Hoon Magr Na Woh Kisi Say Kehta Hai Na Kisi Say Koi Shiqayat Karta Hai. Bohat Khush Qismat Hotay Hain Woh Log Jo Kisi Say Sacha Pyar Karain Aur Unko Unka Pyar Mil Jaye. Magr Aisay Logoun Say Mein Yahi Kehna Chahti Hoon Kay Pyar Mil Janay Kay Baad Iss Pyar Ki Qadar Karo Kahin Uss Insaan Ko Kho Na Do Jo Apko Hr Kisi Say Ziyda Pyar Karta Hai. Kyunkay Jo Insaan Hum Say Be Inteha Pyar Karta Hai Agr Hum Uski Qadar Nhi Karain Gay Tou Woh Na Chahtay Howay Bhi Hum Say Bohat Dor Chala Jaye Ga..Kyunkay Ishq Mein Us Insaan Ki Khushi Ziyda Ehmiyat Rakhti Hai Jissay Hum Pyar Kartay Hain. Woh Na Bhi Bol Paye Magr Uskay Rawaye Say Zahir Hota Hai Kay Woh Kiya Chahta. Behtar Hai Agr Woh Na Bol Paye Tou Isskay Rawaye Ko Samjtay Howay Dor Ho Jana Hee Behtar Hai Par Aap Kitnay Hee Dor Kyun Na Ho Jao Pyar Kabhi Bhi Khatam Nhi Hota Agar Woh Sacha Ho Tou. Kyunkay Ye Rishta Hee Kuch Aisa Hai Jo Kabhi Bhi Khatam Nhi Ho Sakta. Aur Jinkaliye Iss Rishtay Ki Koi Ehmiyat Na Ho Woh Kisi Aur Kay Saath Apni Zindagi Achay Say Guzar Letay Hain.

Ishq Insaan Ko Baybas Kar Deta Hai. Araam Sakoon Sab Cheen Jata Hai Lakin Phir Bhi Agr Koi Aisay Pyar Ki Qadar Na Karay Tou Dil Bohat Dukhta Hai Hr Uss Baat Pay Jo Apko Aap Kay Pyar Say Dor Kar Rahi Ho. Ishq Khatam Honay Wali Shay Hai Hee Nhi Aur Agr Ye Khtam Ho Jaye Tou Samj Lo Tum Nay Ishq Kiya Hee Nhi. Dil Say Dil Ka Rabta Aur Roh Say Roh Ka Ye Eak Gehra Rishta Hai. Jo Insaan Ki Mout Kay Baad Bhi Kabhi Khatam Nhi Ho Sakta. Insaan Maati Ho Jata Hai Magr Ishq Hamesha Zinda Rehta Hai. Ye Taluq Kabhi Khtam Nhi Ho Sakta Agr Iss Mein Sachaye Ho Tou Aur Iss Taluq Ko Duniya Ki Koi Taqat Kabhi Khatam Nhi Kar Sakti...Baat Ho Na Ho Insaan Us Insaan Kay Mutaliq Sochna Ussay Chahna Nhi Chorta. Aisay Rishtay Ki Hamesha Qadar Karni Chaye. Aisay Insaan Duniya Mein Bohat Kam Hotay Hain Jo Apni Zindagi Eak Insaan Say Shuru Kartay Hain Aur Eak Pay Hee Khatam Kar Detay Hain. Kyunkay Ishq Karna Hr Eak Kay Bas Ki Baat Nhi Hai. Ye Woh Rishta Hai Hee Nhi Jo Toot Jaye Jo Ishq Karta Hai Woh Khamosh Zaroor Ho Jata Hai Magr Ishq Karna Nhi Chorta . Ishq Eak Anmool Rishta Hai Eak Janoun Hai Jo Insaan Ki Pori Zindagi Badal Deta Hai.
 

Sehrish Yazdan Malik
About the Author: Sehrish Yazdan Malik Read More Articles by Sehrish Yazdan Malik: 7 Articles with 13032 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.